About The Book
Ahle Sunnat wa Jama'at ke Aqaid aur Mamulaat par Quraano Sunnat se dalail aur badmazhabo ki taraf se kiye jaane waale aitrazaat ke aqali wa naqali jawabaat par mushtamil ek jaame kitab
Kitabein to bahut likhi jaati hain lekin har kitab maqbool ho, ye zaroori nahin, Phir maqbool hone mein bhi aisa hota hai ke baaz kitabein awaam ke nazdeek maqbool hoti hain par khawaas ke darmiyan nahin aur baaz kitabein ilmi hoti hain jo faqat khawaas ke halqe mein maqbool hoti hain lekin awaam mein nahin padhi jaati, ab baat karte hain un kitabo ki jo awaam aur khawaas dono mein maqbooliyat paati hain aur unhein aisi shohrat haasil ho jaati hai ke kahin bhi kitab ka naam le liya jaaye to kaafi hota hai, har shakhs uske naam se aagah hota hai agarche usne khud bhi use na padha ho, Bila kisi shakko shubha "Jaa-al Haq" bhi ek aisi hi kitab hai
Iski maqbooliyat bilkul zaahir hai, saabit karne ki zaroorat hi nahin, Maujuda daur mein wahabiya ne jo gumrahiya’n phailayi aur Ahle Sunnat Wa Jama'at se jin jin masail mein ikhtelaf kiya un sab ka bayaan is kitab mein bade jaame andaaz mein maujood hai