About The Book
Shifa shareef badi mubarak kitab hai, iski maqbooliyat ki hadein kaun bayaan kar sakta hai jabki Mahboobe Khuda, Huzoor Sarware Kainat alaihissalam ki bargaah mein ise maqbooliyat haasil hai!
Bargahe risalat mein maqbooliyat paane ke baad har zamane mein Ulama wa Sulaha ki nazar mein ye kitab ek khusoosi maqam ki haamil ho gai aur unhone nazmo nasr mein iski tareef farmai hai, is kitab ki aaj tak taqreeban 26 ke qareeb shuroohaat wa talkheesaat ho chuki thi jin mein "Sharhe Mulla Ali Qaari" aur "Naseemur Riyaaz" Hazrate Allama Ahmad Shahabuddin Khifaji rahimahullahu ta'ala zyada maqbool hain
Hazrate Allama Ahmad Shahabuddin Khifaji farmate hain "Shifa Shareef" ka ism iske musamma mawafiq hai kyunki salafe saliheen farmate hain ke iska padhna beemariyo se shifa aur mushkilaat ke liye behtareen aur mujarrab amal hai aur Nabiye Kareem alaihissalam ki barkat se is kitab ke padhne se doobne, jalne aur taaoon ki beemariyo se najaat rehti hai, ghaliban is kitab ke baare mein farmaya ke jis ghar mein ye kitab ho wahan jaadu asar na karega
Shifa Shareef kis topic par hai?
Ye kitab Humare Nabi ﷺ ke huqooq ke bayaan par mushtamil hai, Jis tarah hum ye ilm haasil karte hain ke maa-baap ke kya huqooq hain? miya-biwi ke kya huqooq hain waghaira isi tarah ye janna bhi bahut aham hai ke Humare Nabi ﷺ ke kya huqooq hain? Ek ummati ko kaisa hona chahiye? Huzoor alaihissalam ke baare mein kya kehna jaaiz hai aur kya najaiz? Is kitab mein inhi baato ka tafseeli bayaan hai
Saath hi gustakhe rasool ki mazammat aur sazaao ke hawale se bhi tafseel maujood hai