Sidra Store
Search

Cart

More Details

ABOUT THE BOOK

'Qasasul Ambiya' , 'Tazkiratul Ambiya', 'Hazrate Adam se Muhammad ﷺ tak' aur aise hi milte julte naamo se kai kitabein paai jaati hain jin mein aksar kitabein aisi hain ke jhooti aur ghair motabar riwayato se bhari padi hain aur phir likhne waalo ko dekhein to kai kitabein badmazhabo ki likhi hui hain jinhone Ambiya -e- kiraam ke waqiyaat ko bayaan karne mein adab ko bilkul malhooz nahin rakha aur jo chahe alfaaz istemal kiye hain, Kuchh aise logon ne bhi is mauzu par likhne ki koshish ki hai ke jo bahut satahi (basic) ilm rakhte hain aur isi wajah se is mauzu par likhi gai kitabo mein bahut ghalatiya paai jaati hain

Shaykhul Hadees, Hazrate Allama Abdur Razzaq Bhatralwi rahimahullahu ta'ala ki ye kitab banaam 'Tazkiratul Ambiya' un sab kitabo se bilkul alag hai jinka humne zikr kiya, Is mein jahan motabar aur mustanad waqiyaat par iktefa kiya gaya hai wahin Ambiya alaihimussalam ki taraf mansoob ghair motabar waqiyaat ki nishandehi bhi ki gai hai aur saath hi aisi riwayato ko daleel bana kar aitraz karne waalo ko ilmi aur tehqeeqi jawab bhi diya hai

Is kitab ko Roman Urdu mein shaya karna behad zaroori tha kyunki humne iska baaraha mushahida kiya ke awaam is mauzu par kitabein padhna pasand karti hai aur Ahle Sunnat ke maktabo mein na milne ki wajah se badmazhabo se haasil karti hai, kai logon ne is baat ki humse shikayat ki ke 'Ambiya alaihimussalam ke waqiyaat' par koi kitab Roman Urdu mein Ahle Sunnat ki taraf se shaya honi chahiye taaki humari awaam badmazhabo ki kitabo se bach sake, Isi zaroorat ko mahsoos karte hue humne is par kaam shuru kiya aur chunki ye kitab Urdu mein 750 se zaaid bade safahaat par mushtamil hai isliye kaafi mehnato ke baad hum ise tayyar karne mein kamyaab hue hain aur ye sab Allah ta'ala ki taufiq se mumkin hua hai

Allah ta'ala humari is koshish ko apni bargaah mein qabool farmaye aur humari khataao ko muaaf farmaye

Awaame Ahle Sunnat agar kahin koi ghalati paayein to humein us par muttala farmayein taaki aainda editions mein use durust kiya jaa sake