1. Qanoone Shariat (2 Volumes)
Bunyadi Aqaid aur Fiqhi Masail ke bayaan par kai kitabein likhi gai hain jin mein baaz badi tafseeli hain to baaz kaafi mukhtasar, maslan 'Bahaare Shariat' (written by Allama Mufti Amjad Ali Aazmi rahimahullahu ta'ala) mein bahut zyada masail ka ihaata kiya gaya hai jiski wajah se use 'Fiqhe Hanafi ka Encyclopedia' bhi kaha jaata hai, ab iske baad 'Anware Shariat' (written by Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi rahimahullahu ta'ala) ko dekhein to ye kaafi mukhtasar hai, Inke darmiyan mein ek aisi kitab ki bhi zaroorat thi jo na to bahut zyada mukhtasar ho aur na bahut zyada tafseeli bayaan par mushtamil ho aur wo ye kitab "Qanoone Shariat" hai
2. Jannati Zewar
Jannati Zewar ka shumar un kitabo mein hota hai jo har ghar mein honi chahiye, Aurato ke liye ye bahut zyada mufeed hai, Ye kitab kai aham mauzuaat (topics) ke bayaan par mushtamil hai maslan Deeno dunya ke muamlaat, Akhlaqiyaat, Rasmo Riwaj ka bayaan, Imaniyaat ka bayaan, Ibadato ki tafseel aur masail, Saaleh Khawateen ka tazkira, Hidayatein aur Amaliyaat waghaira par bhi kalaam kiya gaya hai
3. Islami Akhlaqo Aadaab
‘Islami Akhlaqo Aadab’ asal mein mash'hoor kitab Bahaare Shariat ka ek hissa hai jis mein insani zindagi mein pesh aane waale rozmarra ke zaroori masail ko jama kiya gaya hai, Kya jaaiz hai aur kya najaiz ise janne ke liye iska mutala har shakhs ke liye bahut mufeed hai, Khane peene, Chalne phirne, Baithne letne, Bolne chup rehne, Kapde pehenne, Dekhne aur chhoone, Salam kalaam aur musafaha karne, Gale milne, Khel kood, Shero shayari, Bughz, Hasad, Keena, Ghussa, Maa-baap, Awlaad aur Padosiyo ke huqooq, Hajamat, Khatna, Zeenat, Naam rakhna, Peshe ikhteyar karna, Khareedo Farokht, Tijarat, Ilmo Taleem, Majalise Khair, Isaale Sawaab, Ziyarate Quboor waghaira jaise kai mauzuaat par saikdo hadeesein aur fiqhi masail darj kiye gaye hain