Sidra Store
Search

Cart

More Details

About The Book

Ye kitab Aala Hazrat alaihirrahma ki seerat par likhi gai kai kitabo se makhooz hai jin mein Khalifa -e- Aala Hazrat, Malikul Ulama, Allama Zafaruddin Bihari ki ‘Hayaate Aala Hazrat’, Allama Hasanain Raza Khan ki ‘Seerate Aala Hazrat’, Allama Yaseen Akhtar Misbahi ki ‘Imam Ahmad Raza Arbabe Ilmo Danish Ki Nazar Mein’ aur Allama Maulana Badruddin Ahmad Qadri Razvi ki ‘Sawaneh Aala Hazrat’ waghaira shamil hain

 

Dusri kitabo ke muqable mein ye awaam ke liye zyada mufeed hai kyunki is mein aasan alfaaz aur jumlo ka istemal kiya gaya hai, Hum kaafi arse se chahte the ke ‘Roman Urdu’ mein Aala Hazrat ki seerat par ek kitab shaya karein jo aasan hone ke saath mukhtasar bhi ho aur phir ye kitab humari nazro se guzri, Allah ki taufiq se humein ye sharf haasil hua aur ye kitab aapke saamne hai

Rabbe kareem humari is kawish ko apni bargah mein darja -e- maqbooliyat ataa farmaye