Sidra Store
Search

Cart

More Details

About The Book

Nabiye kareem sallallaho alaihi wasallam ne irshad farmaye ke: "Meri aur Khulafa -e- Rashideen ki sunnat ko ikhteyar karo" (Muatta Imam Malik), aur is tarah ki kai riwayatein hain jin mein khaas chaar khulafa ki fazeelatein aai hain, Ahle Sunnat ka aqeeda hai ke in chaaro mein sab se afzal Hazrate Sayyiduna Abu Bakr Siddique radiallaho ta'ala anho hain phir Hazrate Umar Faruque radiallaho ta'ala anho, phir Hazrate Usman Ghani radiallaho ta'ala anho aur phir Hazrate Ali Murtaza radiallaho ta'ala anho

In paak aur muqaddas hastiyo ke fazailo manaqib ka ihaata kar paana mumkin nahin hai, Humare kai akabir ulama ne faizaan haasil karne ke liye in hastiyo ka poori tawanaai ke saath zikre khair kiya hai, Ye kitab bhi usi ka ek hissa hai jis mein mukhtasaran Khulafa -e- Rashideen ki zindagiyo ke halaat ko darj kiya gaya hai

Daure haazir ki zaroorat aur taqazo ke peshe nazar humne ise 'Aasan Roman Urdu' mein muntaqil kiya hai taaki awaame ahle sunnat bhi in hastiyo ke baare mein padhein aur apne dilo ko imaan ki taazgi dein