Sidra Store
Search

Cart

More Details

Abhi jo halaat hain un par nazar rakhne waale bakhoobi jaante hain ke 'Ghair Muqallideen' jo apne aap ko 'Ahle Hadees' kehte hain, in ka fitna kis qadr khatarnaak hai, Ye fitna logon ko apne ghere mein le raha hai aur 'Ahle Sunnat Wa Jama'at' ke aqaide haqqa se door kar raha hai

Ghair Muqallideen humare darmiyan ghus kar humare buzurgo ki gustakhiya karte nahin thakte aur Imam Abu Hanifa aur unke manne waalo ko gumrah thhehrate hain, aise aise masail bayaan karte hain ke jin se awaam mein fasaad paida hota hai, Daure haazir mein bahut zaroorat hai ke inka radd kiya jaaye aur inki haqeeqat sab ke saamne laai jaaye

Ghaziye Ahle Sunnat, Mufti Sufi Kaleem Hanafi Razavi Saheb Hafizahullahu Ta'ala ne is silsile mein bahut mehnat farmai hai jo qabile tehseen hai, Hum ne Hazrat Mufti Saheb ki 18 kitabo ko yahan jama kar ke shaya kiya hai aur humein bahut khushi hai ke ye sharf humein haasil ho saka, Hum Mufti Saheb aur unki team ka shukriya adaa karte hain ke humein ise shaya karne ki ijazat ataa farmai

Jin 18 kitabo ka ye majmua hai, wo ye hain:

1- AHLE SUNNAT AHLE JANNAT

2- TAQLEED ZAROORI KYUN?

3- BARKATE TAQLEED

4- HADEES KE DUSHMAN

5- SAHABA KE DUSHMAN

6- FIQHE HANFI QURANO HADEES KA HASIL HAI

7- HANFI NAMAZ AUR HADEESE RASOOL

8- SUNNAT AUR HADEES MEIN FARQ

9- HAQ KI BANDAGI

10- TEHQEEQE RAFA YADAIN

11- TEHQEEQE AAMEEN

12- TEEN TALAQ KI TEHQEEQ

13- TEHQEEQE FATIHA

14- TEHQEEQ RAK’ATE WITR

15- ULAMA E AHNAF AUR RAKATE TARAWEEH

16- RAKATE TARAWEEH KA MUHAQQIQANA FAISLA

17- DAF’USHSHUBAH AN AHKAMIL JUMU’AH

18- BARKAAT E RAMZAN